Add Poetry

Bohat Khoobsurat Ho Tum

Poet: Shamsul "ShamS" By: Shamsul Hasan, New Delhi

Bohat Khoobsurat Ho Tum
Bohat Khoobsurat Ho Tum

Tumhe Dekhkar Dil Ko Milta Sukoon Hai
Tu Meri Khushi Hai Tu Hi Mera Junoon Hai

K Meri Zarurat Ho Tum
Bohat Khoobsurat Ho Tum

Ye Nighaahein Jinhe Dekhkar Ho Subha
Chaand Jaisa Chamakta Sarapa Tera
Noor Chehre Pe Jaise Koi Phool Ho
Khudaara Kyun Humse Na Ab Bhool Ho

Saaf Saffaq Murat Ho Tum
Bohat Khoobsurat Ho Tum

Jism Hai Aapka K Gulaab-E-Itra Hai
Phool Bhi Karte Har Soo Aapka Zikr Hai
Mujhko Tumse Mohabbat Hui Kya Karun
Aapko Dekhkar Dekhta Hi Rahoon

Dil-E-Nadaan Ki Hasrat Ho Tum
Bohat Khoobsurat Ho Tum

Koi Khaab Ho To Mukammal Ho Tumse
Kare Baat Teri Dil Ye Mera Hi Humse
Basakar Rakha Hai Tumhe Dhadkanon Mai
Tumhi Tum Basi Ho Mere Kekaho Mai

Humesha Ki Aadat Ho Tum
Bohat Khoobsurrat Ho Tum

Sada Aap Bhi Meri Chahat Hi Karna
Kasam Se Kisi Aur Se Tum Mohabbat Na Karna
Main Tumko Safar Mai Humsafar Chahata Hoon
Mohabbat Bhari Ek Nazar Chahata Hoon

Meri Jaan Meri Ulfat Ho Tum
Bohat Khoobsurat Ho Tum

Tumhaare Labon Pe Hai Phoolon Ki Laali
Ye Baahein Tumhaari Lachakti Si Daali
Meri Zindagi Mai Zarurat Tumhaari
Samajh Jaao Kya Hai Meri Beqaraari

Taumar Meri Dolat Ho Tum
Bohat Khoobsurat Ho Tum

Bohat Khoobsurat Ho Tum
Bohat Khoobsurat Ho Tum

Rate it:
Views: 4791
21 Jan, 2015
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets