Chehra Mera Tha Nigahain Uss Ki
Khamoshi Main Bhi Woh Batain Uss Ki
Mere Chehre Pe Ghazal Likhti Gaeen
Sher Kehti Hoee Ankhain Uss Ki
Shoukh Lamhoon Ka Pata Dene Lageen
Teez Hoti Hoee Sansain Uss Ki
Aise Mosam Bhi Guzare Hum Ne
Subhain Jub Apni Theen Shamain Uss Ki
Dhayan Main Uss K Yeh Alam Tha Kabhi
Aankh Mehtaab Ki Yadien Uss Ki
Rung Joanga Woh Aye Tu Sahi
Phool Tu Phool Hain Shakhain Uss Ki
Faisla Mooj-E-Hawa Ne Likha
Aandhiyaan Meri Baharain Uss Ki
Khud Bhi Khulti Na Ho Jis Ki Nazar
Janta Koun Zabainain Uss Ki
Neend Is Sooch Se Tooti Aksar
Kis Tarhan Kat Ti Hain Ratain Uss Ki
Dour Reh Ker Bhi Sada Rehti Hain
Mujh Ko Thame Hoye Banhain Uss Ki