Tere Hijr-O-Wisal Ka A'ada Hai
Faaeel-E-Zat Ka Jo Khulasa Hai
Aik Umid Adhi Si Zinda Rakhti Hai
Zehn K Taaq Pe Bhola Hoa Sa Wada Hai
Rah Guzar Asan Bhi Hai Mukhtasir Bhi
Ab Is Pe Akele Chalne Ka Irada Hai
Ab Yun Hai K Khuda Bhi Bant Lete Hain
Koi Kahe Maghroor Hai, Koi Kahe Sada Hai
Aik Uski Junbish-E-Abro Ka Khel Hai Sara
Meri Jo Sar Phiri Hai Aur Iztarab Ka Mada Hai
Ruhen Badan Ki Qaid Mein Zakhmon Se Choor Hain
Chehre Pe Kab Likha Hai Kis Ka Dard Ziada Hai