Dil Ke Angan Mein He Be Kali Ab Aisi
Sarpat Dorti Rail Ki Seeti Jaisi
Kis Qadar Narm Tha Zakhme Gul Pe Hawa Ka Marham
Baap Ki Khidmat Karti Hui Beti Jaisi
Mahe Sard Mein Bhi Tha Ghuta Hua Bagh Ka Haal
Buzurgon Ke Dere Mein Sulagti Hui Angeethi Jaisi
Dil Ke Kooze Ka Pani Bhi Hai Mehdood Magar Barhta Sa
Kisi Manchale Ke Khutoot Se Bharti Hui Peti Jaisi
Dhondh Bhi Lo Gar Pardes Mein Kuch Misle Shehr
Apnayat Kahan Se Lao Ge Watan Ki Mati Ki Jaisi