Gumnam Se Aik Naqsh Ko Mashhoor Bana Deta Hai
Ishq Aam Se Lehje Ko Maghroor Bana Deta Hai
Habs Ka Mousam Hai Aksar Dil-E-Wehshi Mein
Wo Mukhtaib Hoto Har Rut Ko Pur Noor Bana Deta Hai
Azam Ho Pehim Tou Manzil Bhi Manzil Nahi Rehti
Shouq Muslsal Hoto Pathar Ko Bhi Koh-E-Toor Bana Deta Hai
Gardish-E-Ayyam Mein Chalti Hai Gham Ki Purwai Bhi
Phir Tere Lutf Ka Badal Kuch Waqt Ko Masroor Bana Deta Hai
Khahish Hai K Aik Bar Phir Usko Palat Kar Dekhun
Phir Dil Pe Anaon Ka Tasallut Mujha Ghayyor Bana Deta