Dil

Poet: Dr. Ibrar Umar By: Roma Kanwal, Rahim Yar Khan

Hamain Ab Kahin Dil Lagana Nahi Hay
Neya Koi Bhi Gham Uthana Nahi Hay

Wahan Khushboain Paon Dharti Nahi Hen
Jahan Aap Ka Anaa Janaa Nahi Hay

Hamain Aandhiyon Se Draow Na Logo
Hamara To Koi Thikana Nahi Hay

Hamain Bhi Wahan Se Sada Aa Rahi Hay
Jahan Ja K Hum Ko Bhi Aana Nahi Hay

Azal Se Adab Tak Hay Ye Fasana
Mohabbet Ka Koi Zamana Nahi Hay

Rate it:
Views: 958
24 May, 2009