Add Poetry

Door Ka Chhand

Poet: Ajmal By: Ajmal, Bradford, W. Yorkshire, England

Aik Muddat Hui Milay Tumse
Kitney Ziyada Hein Ab Gilay Tumse

Apni Anmol Chahtein Dey Kar
Hum Nahin Mangtey Silay Tumse

Saath Parchhaiyan Hein Yadon Ki
Khatm Kaisay Hon Silsilay Tumse

Door Ka Chaand Pyara Lagta Hey
Hum Nay Rakhay Hein Fasilay Tumse

Kitney Rastay Badal Ke Dekha Hey
Her Koee Raah Ja Milay Tumse

Waqte Rukhsat He Kuch Kaha Hota
 Kaash Mil Jatay Hoslay Tumse

Dil Sambhala Hey Karke Laakh Jatan
Kabhi Chairay Na Mas-Alay Tumse

Dastan-E Haein Jin Mein Mazi Ki
Woh Hein Mansoob Marhalay Tumse

Jab Kabhi Lout Ker Mein Aaoonga
 Phir Na Jaoonga Bin Milay Tumse

Sard Ratoun Mein Chahton Ke Suragh
 Hum Ne Paye Hein Walwalay Tumse
 

Rate it:
Views: 506
24 Aug, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets