Add Poetry

Dulhan

Poet: Zaman Farooqi By: Zaman Farooqi, karachi

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi
Par Wo Kisse Or K Leyay Saji Thi

Aaj Bhi Uss Ka Roop Wohi Suhana Tha
Jissay Main Daikhta Tha Or Deewana Tha

Ussay Panay Ki Justuju Thi Ussay Pana Tha
Par Ussay Kaha Meri Zindagi Main Aana Tha

Aankho Main Ashk Leyay Daikhta Rahy Gaya
Meri Aankho Say Ashko Ka Toufaan Bahy Gaya

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi
Meray Leyay Nahi Kisse Or K Leyay Saji Thi

Dil Main Jo Dhak Dhak Ho Rahi Thi
Meray Dil Ki Dharkan Bhi Ro Rahi Thi

Poucho Na Muj Say Kia Beeti Muj Par Kia Seh Raha Tha
Uss Ki Doli Ko Jaatian Hoaay Daikh Raha Tha

Wo Dulhan K Roop Main Khari Thi
Par Wo Kisse Or K Leyay Saji Thi

Rate it:
Views: 3819
31 Dec, 2009
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets