Ek Andhera Lakh Sitare
Ek Nirasha Lakh Sahare
Sabse Badi Saugaat Hai Jeevan
Nadaan Hai Jo Jeevan Se Haray
Duniya Ki Yeh Bagiya Aisi
Jitney Kaante Phool Bhi Utne
Daaman Mai Khud Aa Jayenge
Jinki Taraf Tu Haath Pasaare
Beete Huey Kal Ki Khatir Tu
Aane Wala Kal Mat Khona
Jaane Kaun Kahan Se Aaker
Raahein Teri Phir Se Saanvare
Dukh Se Agar Pahchan Na Ho To
Kaisa Such Aur Kaisi Khushiyan
Tufanon Se Hi To Ladker
Lagte Hain Sahil Kitne Pyare
Ek Andhera Lakh Sitare
Ek Nirasha Lakh Sahare
Sabse Badi Saugaat Hai Jeevan
Nadaan Hai Jo Jeevan Se Haray