Add Poetry

Ek Naghma Fani

Poet: By: Muhammad Adnan Siddique, Lahore

Ek Naghma Fani K Siwa Kuch Bhii Nahi Hai
Ye Jism Jawani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Ye Shor U Hai Shor Ba Andaza Hasti
Daryaon Main Pani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Dekheye Tu Buhat Khoob Hai Hangama Ulfat
Yeh Qisa Kahani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Kuch Aur Tarah Chahye Jazbat Ka Izhar
Lafzoon Main Mafi K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Nisbat Hi Se Har Cheez Ki Pehchaan Hai Warna
Dil In Ki Nishani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Aangan Main Mere Jis Se Charagha Sa Laga Hai
Ek Yaad Puraani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Jate Huwe Mur Mur K Dekhta Hai Suraj
Shab Nakal Makani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Milne Do Isay Khak Main Aankhon Ko Bachawo
Aanso Hai Yeh Pani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Aawo K Kisi Aur Hi Basti Ko Nikal Jaye
Hasti Main Garani K Siwa Kuch Bhi Nahi Hai

Rate it:
Views: 652
15 Mar, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets