Os Kay Anay Ka Khatka Jab Bhi Huya Mujhay
Etna Sanwara Phir Khud Ko Na Pehchan Paye
Meray Sath Parchiyaan Hien Meray Mazi Kee
Wo Ye Sab Jaan Kar Kahien Na Bad Gumaan Hu Jaye
Faslay Mitanay Par Khatra Ye Lahaq Hay Mujhay
Meray Pyar Kee Inteha Se Wo Na Preshan Hujaye
Os Kee Ye Sooch Larkhara Deti Hay Dharkan Meri
Dilasoon Se Oski Meri Kahien Nikal Na Jaan Jaye
Os Ke Seenay Par Sar Rakh Kar Pata Kar Tu Loon Lekin
Darta Hoon Bana Banaya Kahien Toot Mera Na Maan Jaye
Durrani Ishiq Kay Jhamayloon Mien Kahien Esa Na Hu
Bas Kitaboon Mien Pharnay Ko Apni Rah Na Dastaan Jaye