Faqat Ek Khowaab Ki Chaah Mein Har Haqeeqat Bhula Di Hum Ne
Ab Sochtay Hain Kyon Khud Ko Yeh Saza Di Hum Ne
Dono Hi Qaid Rahay Apni Anaa K Hisaar Mein
Na Us Ne Murr Ke Dekha Na Sada Di Hum Ne
Is Umeed Pe K Kabhi Tu Shab-E-Gham Ki Bhi Sehar Hogi
Tamaam Umer Tairgee Mein Hi Bita Di Hum Ne
Rishtay Bhi Ajnabi Thay Ajnabi Dayaar K
Wohi Dushman-E-Jaan Huwa Jissay Dil Mein Jaga Di Hum Ne
Ehl-E-Duniya Dushmani Jane Kis Tarhaan Nibha Letay Hain
Ek Dosti Nibhaanay Mein Umer Ganwa Di Hum Ne
Zindagi Pehlay Bhi Kuch Itni Sehal Nahi Thi
Phir Tujhe Chaah K Aur Bhi Mushkil Bana Li Hum Ne
Un Ko Bhi Ho Khabar Yeh Zarori Tu Nahi
Jin Ki Khaatir Apni Hasti Hi Mitta Di Hum Ne