Add Poetry

Faraar

Poet: Ahmed Faraz By: Adnan Khan, karachi

Apne Mazi K Tasawur Se Harasan Hon Mai
Apne Guzre Huay Ayyam Se Nafrat Hai Mujhe

Apne Bekar Tmannaon Pe Sharminda Hon
Apni Be Sood Umeedon Pe Nadamat Hai Muje

Mere Mazi Ko Andheron Mai Daba Rehne Do
Mera Mazi Mri Zillat K Siwa Kuch Nhi

Mri Umeedon Ka Hasil Mri Kawish Ka Sila
Aik Benam Aziyat K Siwa Kuch Nhi

Mujse Ab Meri Muhabat K Fasane Na Kaho
Mujhko Kehne Do K Maine Unhe Chaha Hi Nhi

Or Wo Must Nigahen Jo Mujhe Bhool Gain
Maine Un Mast Nigahon Ko Saraha Hi Nhi

Mujko Kehne Do K Mai Aj Bhi Ji Sakta Hon
Ishq Nakam Sahi Zindagi Nakam Nhi

Wohi Geso Wohi Aariz Whi Jism
Mai Jo Chahon O Muje Or B Mil Sakte Hain

Wo Kanwal Jnko Kabhi Un K Liay Khilna Tha
Unki Nazron Se Boht Door Bhi Khil Sakte Hain

Rate it:
Views: 1131
26 Nov, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets