Farz Karo Tum Chat Pay Baithi Apnay Baal Sukhati Ho
Farz Karo K Dhoop Ka Uss Din Kuch Kuch Rung Gulaabi Ho
Farz Karo Tum Baithay Baithay Gehri Soch Main Kho Jao
Baal Sukhana Bhool K Sir Guthnon Pay Rakh K So Jao
Farz Karo Iss Neend Main Tum Nay Dekha Aisa Sapna Ho
Baykal Hokar Maan Yeh Chahay Kaash Yeh Sapna Apna Ho
Farz Karo Kamray Main Baithi Tum Afsana Likhti Ho
Afsanay Kay Hero Ko Shayer Deewana Likhti Ho
Farz Karo Afsanay Ki Herioen Bhi Afsana Likhti Ho
Farz Karo Wo Dekhnay Main Bhi Narmal Komal Lagti Ho
Farz Karo Afsanay Ka Unwaan Tumhara Sapna Ho
Farz Karo Tum Us Ka Anjaam Na Tay Kar Pao
Farz Karo Tum Khat Likhnay Ki Khwahish Maan Main Phati Ho
Likhnay Say Pehlay Tum Khat Par Khushboo Khob Lagati Ho
Farz Karo Alqaab Pay Akar Haath Tumhara Ruk Jayay
Ankh Tumhari Dhak Dhak Kartay Dil Ki Janaib Jhuk Jayay
Farz Karo Aik Naam Likho, Likh Kar Kaato Aur Phir Likho
Farz Karo Wo Naam Tumharay Apnay Iss Shayer Ka Ho
Farz Karo Har Aik Mafrooza Goya Aik Haqeeqat Ho
Farz Karo Sapnay, Afsanay, Khat Ka Naam Mohabbat Ho
Farz Karo Yeh Sari Batain Farz Na Karni Parti Hon
Farz Karo Maan Kay Angan Main Ashayaeny He Basty Hon
Farz Karo Hum Dono Ka Dil Bass Aik Saath Dharakta Ho
Farz Karo Han Farz Karo
Par Kyun Akhir Kyun Tum Farz Karo