Add Poetry

Gham Mila To Roo Naa Sakai

Poet: Majid Mahmood By: Majid Mahmood, islamabad/rawalpindi/doha qatar

Gham Mila To Roo Naa Sakai
Khushi Mili To Hans Na Sakai
Yeh Kaisa Raaz Hai Zindigi Ka
Hum Jisey Samaj Na Sakai
Jis Ko Chaha,Apna Na Bana Sakai
Aap Chalai Gai, Phir Bhi Dil Se Nikall Na Sakai
Par Jab Aap Thai, Pass Bhi Na Aa Sakai.
Ab Aapki Yaadon Ko Seenai Se Lagaa K Phirthey Hain
Saamne Aap Ko Paa Kar Bhi Galey Na Lagaa Sakai,
Yeh Kaisa Raaz Hai Zindigi Ka, Hum Na Samajh Sakai
Jiss Ko Chaha Apna Na Bana Sakai
Abb Palkoon Ko Band Karr K Pal Main Aap K Pass Hote Hain
Magar Jab Aankhon K Saamne Thai
Jee Bharr K Dekh Bhi Na Sakai
Dil Dard Se Bharaa Huaa Tha Lekin Roo Naa Sakai
Yeh Kaisa Raaz Hai Zindigi Ka
Hum Jisey Samaj Na Sakai
Na Chup Reh Sakai Na Pyar Jataa Sakai
Abb Aap K Saath K Liyai Harr Pall Tarhaptai Hain
Magar Jab Aap Tarhap Rahai Thai To Saath Na Dai Sakai
Dil To Rotaa Rahai Par Aankhain Aansoo Na Bahaain
Pyar K Iss Riwaaj Ko Na Samajh Sakai
Dostoon Main Hokar Hum Kho Jaatai Hain
Woh Kehtai Hain Hum Tanha Hain
Par Hum Kehtai Hain Hum Saath Hain
Yeh Tanhaai Main Saath Ko Koi Samajh Nahi Sakta
Meri Iss Zindigi K Raaz Ko Koi Na Jaan Sakai
Dil Itne Dard Seh Kar Bhi Aap Hi Ko Chahta Kyon Hai
Hum Iss Paheeli Ko Aaj Tak Samajh Na Sakai
Aap K Laakh Inkaaron Ke Baad Bhi
Aap Humare Nahin Hain Yeh Dil Ko Samjha Na Sakai
Laakh Chaha Humne Phir Bhi Aapko Bhula Na Sakai
Jaise Din Maheenai Hogai
Aap Humain Bhool Gai Magar Hum Na Bhool Sakai
Jaise Khuwaab Zindigi Zindigi Khuwaab Na Ho Sakai
Jaise Aap Hamare Nahi Ho Saktai
Waise Hi Hum Kisi Orr K Nahi Hosakte
 

Rate it:
Views: 828
02 Sep, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets