Tera Har Faisla
Han Magar
Hukam Kay Hay Jasa
Han Magar
Yun Jald Faislay Na Kiya Kar
Maaf Kar Ya Na Kar
Han Magar
Sazaa Zaror Diya Kar
Ansuwon Ki Parwah
Bilkul Be Na Kiya Kar
Han Magar
Zamany Mein Abroo Ki Khatir
Meray Anso
Ponch Diya Kar
Meray Lafzun Ko Para Kar
Ya Na Hee Paraa Kar
Han Magar
Lafzoun Ko Yun Bay Lafz Na Kiya Kar
Acha Nahi Hay Yun Tamasha Karna
Han MagarMeree Ruswaee Ka
Tamashaee Na Bana Kar
Zulm Tu Sehna Hay Adat Humaree
Han Magar
Yun Zalim Tu Na Bana Kar
Muflasee Gar Jurm Hay Humara
Han Magar
Yun Tu Sahookaar Na Bana Kar