Add Poetry

Hans Ke Bola Karo

Poet: Adam By: Muhammad Nadeem Abbas, Lahore

Hans ke bola karo bolaya karo
Aap ka ghar hai aaya jaaya karo

Moskurahat hai husn ka zevar
Roop badhata hai moskuraya karo

Had se bad kar hasein lagate ho
Jhouthi qasmein zaroor khaaya karo

Hukm karana bhi ek sakhavat hai
Ham ko khidamat koi bataya karo

Baat karana bhi badashaahat hai
Baat karana na bhool jayaa karo

Taa ke duniya ki dilkashi na ghatay
Nit naye pairahan mein aaya karo

Kitanay saada mizaaj ho tum ''Adam''
Us gali mein bohat na jayaa karo
 

Rate it:
Views: 1301
13 Nov, 2007
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets