Haseen Hath Salamat Rakhna
Poet: Wasi Shah By: Faizy, karachiMere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna
 Aisa Lagta Hay Jo Yeh Hath Dua Ko Uthaina
 
 Khud Farishtay Chalay Aatay Hon Zamin Ki Janib
 Sonp Kar Marmareeen Hathon Ki Hatheli Ko Hina
 
 Jo Bhi Manga Woh Chup Chap Diye Jatay Hon
 Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna
 
 In Ki Khushboo Say Moattar Hay Mera Sara Wajood
 Inhi Hathon Main Mere Khwab Chupay Hain Mola
 
 Unglian Mujh Ko Mohabbat Main Bhigo Deti Hain
 Inhi Poron Nay Mere Dard Chunay Hain Mola
 
 In Ki Rag Rag Main Mohabbat Hi Mohabbat Rakhna
 Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna
 
 Inhi Hathon Ki Lakeeron Main Muqadar Hay Mera
 Yeh Jo Konay Main Sitara Hay Sikandar Hay Mera
 
 Khwab Say Naram Khiyalon Ki Tarah Nazuk Hain
 In Kay Her Lams Main Mere Liye Chahat Rakhna
 
 Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna
 Mere Mola Yeh Haseen Hath Salamat Rakhna






