Haseen Khayal Ban Kar Aa Jaao

PoetMuhammad Ismaeel Submitted byMuhammad Ismaeel
Text size

Haseen Khayal Ban Kar Aa Jaao Kabhi
Beti Hui Yaadain Dohraao Kabhi

Paigham E Mohabbat Liay Aa Rahi Hay Saba
Mujhay Yaad Kar K Suntay Jaao Kabhi

Kisi Shaam Haathon Main Gul Liay
Kisi Bhaag Main Aao Kabhi

Kinaray Jheel K Baith Kar
Naghmay Mohabbat K Sunao Kabhi

Hum Deedar Main Dhoobay Rahain
Aur Tum Muskuratay Jaao Kabhi

Talkh Andhairon Ka Musafir Hoon
Chiragh E Raah Ban Jaao Kabhi

Dil Ki Shaakhain Jhar Chuki Hain
Sawan Ki Tarah Baras Jaao Kabhi

Auraq E Mohabbat Ulat Tay Rahin Hum
Aur Tum Parhtay Jaao Kabhi

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied