Add Poetry

Haye Bijli Haye

Poet: falak agumnaam By: rehan gazaini, riyadh

 Bin Bataye Jo Chali Jaye
Din Raat Hamain Jo Sataye

Raton Ko Jaag Jaag Kar Hum Jis Ki Raah Daikhain
Pal Bhar K Liye Woh Aaye Phir Wapas Chali Jaye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

Lutain Jis Per Hum Kafi Rupees Bil Ki Shakal Main
Woh Bewafa Chund Hours Bhee Hamain Na Mil Paye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

Haal Hai Is Ka Yeh 2012 Main
2030 Main Shhayad Yeh Khuwab Ban Jaye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

Garmion Main To Hud Hee Kar Deti Hai Yeh
1 Hour Reh Kar 23 Hour Gayab Ho Jaaye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

Aaye Yeh To Har Soo Ujala Kar Day
Jaye To Sab Ki Dunya Andhaeri Kar Jaye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

Baith Kar Aandhairey Main Student Yeh Soachta Hai
Kaash Koi Charag Ka Jin Mera Home Work Kar Jaye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

Is K Jaatey Hee Buddhi Auraton Ko Parta Hai Yeh Doara
Kehti Hain Bijli Walo Bijli Kholo Warna Tumhari Qabar Main Keerey Par Jayin

Haye Bijli Hai Haye Bijli Hai

Hukumat To Deti Hai Har Baar 6 Maah Ka Dilasa
Kaash Woh 6 Maah Jald Hee Khatam Ho Jaye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

A Rab A Falak Too Hee Dikha Dey Ab Apni Qudrat Ka Karishma
Hamarey Mulk Sey Load Sheding Ki Nahoosat Khatam Ho Jaye

Haye Bijli Haye Haye Bijli Haye

Rate it:
Views: 2003
31 Aug, 2012
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets