Mere Dil Ki Jo Hairani Pahle Thi Wo Ab Bhi Hai
Gham-e-Dil Ki Parshani Thi Wo Ab Bhi Hai
Hazaron Inqalab Aaye Hazaron Mehfalain Ujrain
Maah Anjum Ki Taa Bani Jo Pehle Thi Wo Ab Hai
Tapakti Hai Sharab-E-Rang-O-Boo Har Gul K Saghar Se
Chaman Mein Shambnam Afshani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai
Charagh-E-Dil Bujha Kar Rakh Dia Halat Ne Phir Bhi
Tere Chehre Ki Taa Bani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai
Faraib-e-Wada Par Un K Yaqeen Karna Hi Parta Hai
Hum Ahl-E-Dil Ki Nadani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai
Jahan Aarzo Mein Aaj Bhi Kalian Hi Kalian Hain
Talab Ki Tang Damni Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai
Bazahir Mutmain Chehre Se Hai Har Insan KASHIF
Magar Zehno Ki Jo Aryani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai