Hum Na Samjay

Poet: Noman Sumar By: Noman Sumar, Karachi

Hum Na Samjay Teri Nazron Ka Takaza Kya Hai
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Yeh Tamasha Kya Hai

Mujko Madhosh Sa Kar Rakha Hai Teri Ankhon Ne
Warna Ay Saaki Tere Mekhanay Main Aur Rakha Kya Hai

Dekh Laila Teray Majnon Ka Kaleja Kya Hai
Khak Mein Mil K Bhi Kehta K Bigra Kya Hai

Ye Surahi Sa Badan Le K Mere Saamne Na Aya Karo
Me Sharabi Hon Sharabi Ka Bharosa Kya Hai

Apne Honton Ko Mere Honton Se Chhone To Do
Ek Do Ghont Se Botal Ka Bigarta Kya Hai

Rate it:
Views: 1446
13 Mar, 2008