Add Poetry

Hum Safar

Poet: Abdul Waheed(Muskan) By: Abdul Waheed(Muskna), Haripur

Tumhara Nam Kuch Aisy Mery Honthon Pe Khilta Hai
Andhaire Rat Main Jaisy
Ichanak Chand Badal K Ksi Kony Se Bahir Jhankta Hai
Aur Sary Mnzron Main Roshni Se Phail Jati Hai
Kali Jaisy, Lrzti Os K Kutry Pehn Kr Muskrati Hai
Bdlti Rut, Ksi Manos Se Ahat Ki Dali Lai K Chalti Hai
To Khushboo Bagh Ki Daiwar Se Roky Nahin Rukti
Isi Khushboo K Dhagy Se Mera Hr Chak Silta Hai
Tmary Nam Ka Tara Meri Sanson Main Khilta Hai
Tmain Main Daikhta Hoon Jb Sfr Ki Sham Se Pehly

Ksi Uljhe Hue Gumnam Se Chinta K Jado Main!
Ksi Sochy Huy Bainam Se Lumhy Ki Khushboo Main
Ksi Mosm K Damn Main, Ksi Khwahish K Pehlon Main
To Is Khush Rng Mnzr Main Tmari Yad Ka Rasta
Najany Kis Trf Se Phoot'ta Hai
Or Phr Aisy Meri Hr Rah K Hmrah Chulta Hai
K Ankkhon Main Sitaron Ki Gzr Gahain Se Bnti Hain
Dhunk Ki Kehkshaon Se
Tmary Nam Ki In Khush Nma Hrfon Main Dhlti Hain
K Jin K Lms Se Honthon Pe Jugnoon Ruks Krty Hain
Tmary Khwab Ka Rishta Meri Nenndon Se Milta Hai
To Dil Abad Hota Hai
Mera Hr Chak Silta Hai
Tmary Nam Ka Tara Meri Raton Main Khilta Hai

Rate it:
Views: 405
09 Nov, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets