Me Likhna Chahon Kuch Aisi Batain Jo Mery Jazbat Keh Rahy Hain
Jo Meri Ankhon Ki Chilmanon Me Udasi Bn Kr Thehar Gai Hain
Wo Ishaq Chahat Wafa Ki Batain Ky Jin Ko Sun'ny Ko Man Ye Tarsay
Kahanian Kuch Gaye Dinon Ki, Haqeeqatain Kuch Saraab Lamhy
Kuch Aisi Batain Me Likhna Chahon Ky Jin Sy Mery Her Aik Pal Ka
Har Raaz Ubhray Hisab Ubhray, Haqeeqatin Kuch Kuch Aisy Sapny
Ky Jin Ko Pany Ki Aas Ab Tk Meri Ragon Me Machal Rahi Hai
Me Likhna Chahon Kuch Apna Bachpan, Kuch Aisi Batain Kuch Aisi Yadein
Ky Jin Ko Parh Ky Hr Ehl E Dil Ki Nigahain Nam Hon Aur Sans Thehray
Kuch Aisy Ehsas Likhna Chahon Ky Jin Ko Lafzon Me Dhalana Bi Azab E Jan Hai
Kuch Aisy Ibhaam Likhna Chahon Ky Jin Ki Bunyad Mery Dil Me Ajib Halchal Macha Gai Hai
Me Likhna Chahon Waj E Mohabat Waj E Aqeedat Waj E Ibadat
Wo Sari Batain Me Likhna Chahon Jo Zindgi Ki Asaas Thehrin
Kuch Aisy Lamhaat Likhna Chahon Jo Dil Ki Deewaron Pe Sabat Hain
Kuch Aisy Chehry Kuch Aisy Qisay Jo Zindgi Ki Haqeeqaton Ky Saboot Thehray
Me Wo Wafain Bi Likhna Chahon Ky Jin Ko Pany Ki Hasraton Me Kai Baras Sy Sisak Rahy Hain
Khuda Gawha Hai Mohabaton Ka Wagrna Hm Ko Khabar Nahin Hai
K Kya Wafa Ha K Kya Saza Hai Ye Ishaq Jis Ko Bi Bas Howa Hai
Wo Janta Hai Wafa Ka Matlab Jafa Ka Matlab Khata Ka Matlab
Wo Janta Hai Mohabaton Ko Haqeeqaton Ko Zaroraton Ko
Jo Janta Hai Ky Ishaq Kya Hai Wohi Khuda Tk Pohanch Saka Hai
Me Likhna Chahon Gi Sirf Itna Ky Ishaq Kya Hai Wafain Kya Hain
Dilon Ko Jo Tor Kr Bi Jorain Me Likhna Chahon Adain Kya Hain
Khuda Se Bas Yehi Iltaja Hai Ky Itni Mohalat Zaror Dy Wo
Ky Ishaq Kya Hai Bata Sakon Me Kahanian Kuch Suna Sakon Me
Gaye Dinon Ki Musafaton Ky Wo Istaaray Dikha Sakon Me
Aur Iss Kahani Me Harf E Aakhir Bas Us Ko Khud Sy Mila Sakon Me