Add Poetry

Ik Larki Pagli Si Deewani Si

Poet: By: sumera ataria, GUDDU

Ik Larki
Pagli Si Deewani Si
Masoom Si Anjaani Si
Apne Ghar Ki Munder Per Bethi
In Galiyon Aur Chaurahon Ko
In Koochon Aur Bazaron Ko
Dekhti Hai
Jahan Isne Apna Bachpan Guzara Tha
Iski Ankhon Mein Tha Tha Intizaar
Kisi Ka!
Magar Isey Kon Samjhaye
Ke Bachpan Ke Vaade To
Kachi Daur Ki Tarah Hote Hain
Aur
Bhala Jane Wale
Kab Laut Kar Aate Hain!
 

Rate it:
Views: 1211
18 Aug, 2012
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets