Add Poetry

Iltijayein Uski

Poet: Smaas By: Lovely smaas, Multan

Iltajayen Us Ki Phir Khatir Mein Laaon Kis Tarah
Be’sabab Rootha Hua Hoon Maan Jaaon Kis Tarah

Jis Ko Aankhen Chahti Hain Mangta Hai Dil Usey
Kese Dhoka Doon Unhe Us Ko Manaaon Kis Tarah

Ajnabi Sa Aashnaa Tha Naam Tak Poocha Nahin
Main Ne Maana Laut Aaye Ga Bulaaon Kis Tarah

Hum Agar Yak Jaan Do’qaalib Hain Phir Tu Hi Bata
Rooth Jaye Tu Agar Khud Ko Manaaon Kis Tarah

Dekh Ker Sotey Main Us Ko Pyaar Aata Hai Mujhe
Main Bhala Soyi Huyi Qismat Ko Jagaaon Kis Tarah

Woh Kabhi Rootha Hai Na Main Ne Manaya Hai Usey
Aaj Kyon Rootha Hai Woh Us Ko Manaaon Kis Tarah

Maanta Hai Jo Meri Har Baat Har Zid Har Lagan
Us Wafaa Paikar Se Saaqi Rooth Jaaon Kis Tarah
 

Rate it:
Views: 488
15 Oct, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets