Kabhi Jumud Kabhi Sirf Intishar Sa Hai
Jahan Ko Apni Tabahi Ka Intizar Sa Hai
Manu Ki Machhli Na Kashti-E-Nuh Aur Ye Faza
Ki Qatre Qatre Men Tufan Be-Qarar Sa Hai
Main Kis Ko Apne Gareban Ka Chaak Dikhlaun
Ki Aaj Daman-E-Yazdan Bhi Taar Taar Sa Hai
Saja-Sanvar Ke Jis Ko Hazar Naaz Kiye
Usi Pe Khaliq-E-Kaunain Sharmsar Sa Hai
Tamam Jism Hai Bedar Fikr Khvabida
Dimagh Pichhle Zamane Ki Yadgar Sa Hai
Sab Apne Paanv Pe Rakh Rakh Ke Paanv Chalte Hain
Khud Apne Dosh Pe Har Aadmi Savar Sa Hai
Jise Pukariye Milta Hai Ik Khandar Se Javab
Jise Bhi Dekhiye Maazi Ka Ishtihar Sa Hai
Hui To Kaise Bayaban Men Aa Ke Shaam Hui
Ki Jo Mazar Yahan Hai Mira Mazar Sa Hai
Koi To Suud Chukae Koi To Zimma Le
Us Inqalab Ka Jo Aaj Tak Udhar Sa Hai