Add Poetry

Ishq Me Phool Bhi Kante

Poet: Maryam Junaid By: Maryam Junaid, Islamabad

Zidagi Gham Ka Nam Nahi
Zindagi Yadoon Ki Sham Nahi
Ishq Ne Tumhe Itna Begana Kia
Tumhare Rastey Ka Koi Anjam Nahi
Ishq Me Phool Bhi Kante Ho Jate Hein ...Samjhe

Tum Khushian Phelate Ho
Tum Isq Chpate Ho
Chehre Pe Tumhare Muskan Saji He
Per Shaid Tum Maios Rehte Ho
Ishq Me Phool Bhi Kante Ho Jate Hein ...Samjhe

Sathi Bichar Jatey Hein
Bewafai Ker Jate Hein
Bhool Jao Gham Zindagi Nahi
Dewane Ishq Mein Mar Jate Hein
Ishq Me Phool Bhi Kante Ho Jate Hein ...Samjhe

Khushian Sameto Or Khusian Banto
Zindagi Khuda Ki Yad Mein Guzar Do
Isq E Haqeqi Me Khud Ko Rang Lo
Tum Khushion Bhari Zindagi Ka Phir Aghaz Kero
Ishq Me Phool Bhi Kante Ho Jate Hein ...Samjhe

Serdion Ki Shamen Jab Tanha Ho Jati Hein
Chand Timtimta He Mehbob Yad Ata He
In Kanton Se Nikalna Tab Mushkil Hota He
In Lamhoon Mein Kitab Saath Deti He
Ishq Me Phool Bhi Kante Ho Jate Hein ...Samjhe

Rate it:
Views: 763
12 Jun, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets