Add Poetry

Jaaney Q Dil Ko Kisi Ka Intizaar He

Poet: Reda Ayaz By: Reda Ayaz, Jeddah

Jaaney Q Dil Ko Kisi Ka Intizar He
Aj Kisi K Lie Wo Be Qarar He
Sham Dhalney Ko He Per Phir Bhi
Laga Tareeki Mein Dil Ka Bazaar He
Lagan Se Usko Paaney Ki Khoshish Ki
Magar Meri Thakan K Bawajud Wo Paar He
Tumhein Dekhte Thakti Nahin Soti Nahin
Yahan Ankhein Bhi Hamari Bechaar Hein
Dunya K Koney Par Ghar Banaya He Ham Ne
Tere Paros Mein To Saara Sansaar He
Jalney Do Aag Ko Bhi Aj Hamarey Badan Mein
Jo Cheez Bujhney Lagey Wo Bekaar He
Tum Kehtey Ho K Ham Ne Kabhi Dil Na Diya Kisi Ko
Hamarey Lie To Jaan Qurban Karna Hi To Pyaar He
Merey Dil Ka Dareecha Bhi Kisi K Aaney Ko Tarse He
Uski Tanhai Mein Bhi Us K Khush Fikrey Aik Hazaar He
Kai Raat Tufanon Mein Bitayein Hein Yun Hi
Terey Khyal Mein To Pat Jhar Bhi Bahar He
Yun To Rha He Nahin Hamein Apni Aqal Per Yakeen
Per Teri Zulfon Ki Chadar Bhi Bht Khushbu-Daar He
 

Rate it:
Views: 455
30 Aug, 2014
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets