Garmi-E-Hasrat-E-Nakam Se Jal Jatay Hain
Hum Chiragon Ki Tarah Sham Se Jal Jatay Hain
Bach Nikaltay Hain Agar Atih-E-Sayyad Se Hum
Shola-E-Atish-E-Gulfam Se Jal Jatay Hain
Khudnumayee Toh Nahin Shewa-E-Arbab-E-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aram Se Jal Jatay Hain
Shama Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish K Liye
Hum Ussi Aag Mein Gumnam Se Jal Jatay Hain
Jab Bhi Aata Hai Mera Naam Tere Naam K Saath
Janay Kyun Log Meray Naam Se Jal Jatay Hain
Rabta Baham Pe Humayn Kya Na Kahengay Dushman
Ashna Jab Teray Paigam Se Jal Jatay Hain