Jis Ghari Tujhko Bhot Dair Tak Socha Karta
Tarey Hi Naam Se Phir Ek Ghzal Likha Karta
Teri Khushio K Lia Ghum Ko Chupaya Karta
Ashk Ankho Mein Lia Tujhko Hansaya Karta
Han Mujy Yad Ha Wo Rat Ka Manzr Ab Bhi
Tujh Ko Taktey Huey Hr Rat Jo Soya Krtaa
Apney Uljhey Huey Balon Sey Ulajhti Jo Kabi
Apney Hathon Sey Tarey Ball Sanwara Karta
Kitney Pyarey They Wo Bachpan K Guzarey Lamhey
Jaab Khilono Ko Chupa Kar Tujhey Chhera Karta
To Jo Phir Roth Key Ankho Sey Chali Jati Door
Paglon Ki Tarha Din Bhar Tujhey Dhonda Karta
Mary Hathon May Usi Phol Ki Khushbo Ha Basi
Tarey Balon Mein Joo Har Roz Lagaya Karta
Kia Tujhey Yad Ha Jab Rothti Thi To Mujhsey
Kasey Bachon Ki Tarha Tujhko Manaya Karta
Yad Ata Ha Mujhey Waqtey Judai Ka Wo Ashk
Tujsey Moon Pher K Chupky Sey Jo Nikla Karta
Wo Jo Khawbo Ka Ek Ghr Humny Banaya Tha Kbi
Ab Haqeqat Mey Wohi Ghar Tujhey Dhonda Krta
Tujh Se Milta To Bhot Dair Tak Batein Karta
Teri Nazuk Si Kalai Sey Main Khela Karta
Teri Ankho Sey Har Ek Ansoo Metaya Karta
Phir Tujhy Pyar Ka Ek Geet Sunaya Karta
Tha Yaken Dil Mey K Tu Muj Sy Bechar Jaygi
Phir Bhi Umeed Ka Aik Deep Jalaya Karta
Yad Ati Hein Zaheer Sari Duaen Abb Bhi
Jab Khuda Sy Tujhy Ro Ro K Mai Manga Karta