Jo nibhai thi tumse uss wafa ki kasam jaanum
Tere shehr ki matti hai wo matloob marham jaanum
Iss ishq main kufr ki ijazat kahan hum ko
Gr badla jo qibla to sajda bhi pasham jaanum
Hasti meri lagti hai tamasha iss Jahan ko
Kya khoob ik shakhs ne rakha bharam jaanum
Dekh hasil ko rulana “wali” Dastoor yahan ka
Phir khonay par pachtana dunya kis rasam jaanum
Yun chalta raha tanha hi main roz e hijr se
Main tauheed ka qaa’il, shirk tehra jurm jaanum
Pehli ye ghazal meri, ism apna “wali” likha
Aakhri hai zikr tera, ye kahani khatam jaanum