Jo Saqi Ke Hosh Ura De Mein Aisa Nasha Hun
Jo Logon Se Jurm Karwa De Mein Aisi Waja Hun
Koi Mujhe Hakim Manta Nahi Hai Phir Bhi
Jo Dilon Pe Hukmarani Karey Mein Aisi Ghata Hun
Jurm Karey Phir Wo Mujrim Thera Dia Jaye
Takleef Jhelney Mein Use Maza Aye Mein Aisi Saza Hun
Muhabbat Ki Intiha Par Jab Pohanch Kar Koi
Zehr Mein Lazzat Paye Mein Aisa Maza Hun
Itne Muqaddas Naam Se Pukartey Hain Mujhko
Farishtey Nakion Mei Jise Likh Den Mein Aisi Khata Hun
Darindon Ke Darmiyaan Reh Kar Majnu Koi Jab
Mehfuz Mehsus Karey Khud Ko Mein Aisi Panah Hun
Jis Mahol Mein Tanha Logon Ka Dam Ghut Jaye
Wahan Muhabbat Ki Mehak Ho Mein Aisi Fiza Hun
Ab Baazi Laga Hi Li To Darna Kia Sameer
Na Chahtey Hue Dil De Do Mein Aisi Raza Hun