Khoya Khoya Sa Hai Apna Aap
Mudat Guzri Khud Se Nhi Hui Mulakat
Na Jane Khud Ko Kahan Chorh Aayi Main
Unki Dheleez Pe Kuch To Bhool Aayi Main
Uth Ti Thi Dil Se Ghunjh Unke Liye Bani Hoon Main
Kaash Thori Si Aur Dua Mang Leti Main
Agar Wo Humsafar Hote To Beshak Manzil Na Milti
Unko Palkon Pe Bithaye Zindagi Kaat Leti Main
Agar Na Hota Isme Itna Sukoon To
Kehse Gham E Mohobbat Dil Main Abaad Karti Main
Na Wo Shikwa Karte The Na Wo Sawal Karte The
Unki Khubbi Yeh Thi Bas Wo Pyar Karte The
Mere Haath Ki Jaga Mera Dupatta Pakar Ke Muskurane Wale
Tere Bina Kahan Zindagi Samaj Ti Main