Kabhii Youn Bhii Aa Merii Aankh Main Ke Merii Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Ek Raat Navaaz Dey Magar Uskey Baad Sehar Na Ho
Wo Bara Rahiim-O-Kariim Hai Mujhey Ye Sifaat Bhii Ataa Karey
Tujhey Bhulaney Kii Duaa Karon To Duaa Main Merii Asar Na Ho
Mere Baazuon Main Thakii Thakii , Abhii Mehaw-E-Khwaab Hai Chaandnii
Na Uthay Sitaaron Kii Paalkii, Abhii Aahaton Kaa Guzar Na Ho
Ye Ghazal Ki Jaisey Hiran Kii Aankhon Main Pichhalii Raat Kii Chaandnii
Naa Bujhey Kharaabe Kii Roshanii, Kabhii Becharaag Ye Ghar Na Ho
Wo Firaaq Ho Yaa Visaal Ho, Terii Yaad Mehkegii Ek Din
Wo Gulaab Ban Ke Khilegaa Kyaa, Jo Chiraag Ban Ke Jalaa Na Ho
Kabhii Dhoop Dey, Kabhii Badliyaan, Dil-O-Jaan Se Dono Qabool Hain
Magar Us Nagar Main Na Qaid Kar Jahaan Zindagii Kii Hawaa Na Ho
Kabhii Din Kii Dhoop Main Jhoom Ke Kabhii Shab Ke Phool Ko Choom Ke
Youn Hii Saath Saath Chalein Sadaa Kabhii Khatam Apanaa Safar Na Ho
Mere Paas Mere Habeeb Aa Zaraa Aur Dil Ke Qariib Aa
Tujhe Dharkano Main Basaa Loon Main Ke Bichharnay Kaa Kabhii Dar Na Ho