Kaha Naa Piyar Hay Tum Say
Tu Phir Kiyo Zid Tumhari Hay
Kay Jab Bi Tum Milo Muj Say
Yahi Iqrar Ho Lab Par
Mujay Tum Say Mohabbat Hay
Tumhay Maloom Hay Jaana
Mohabbat To Mohabbat Hay
Yea Tu Aankhoo May Dhikti Hay
Haseen Say Khwab Ki Soorat
Yea Tu Aik Phool Sa Jazba Hay
Kay Jis May Rang Bi Aur Khushboowo Ka Sath Hota Hay
Bohat Anmool Jazba Hay
Yea Izhaar Ki Shidat Ka Talib Bi Nahi Hota
Bohat Chup Chaap Jazba Hay
Dabay Pawoo Hi Chala Aata Hay
Magar Jo Naksh Iss Kay Hay Bohat Hi Gahray Hotay Hay
Inhay Kahna Nahi Parta
Lab Tu Khamosh Hotay Hay Magar Izhaar Hay Hota
Kabi Aankho Ki Shookhi Say
Kabi Batoo Ki Khoshboo Say
Yea Jazba Chuup Nahi Pata
Yea Sab Batain Hay Mairi Jaana, Tumhay Maloom Hi Tu Hay
Tumhari Hi Kahi Tu Hay
Tu Phir Kiyo Zid Tumhari Hay Kay Jab Bi
Mea Miloo Tum Say Yahi Izhaar Ho Lab Par
Mujay Tum Say Mohabbat Hay
Magar Tum Janti Ho Na Tumhari Baat Ko Jaana
Nahi Main Taal Sakta Hoon
Chaloo Ikrar Karta Hoon
Mujay Tum Say Mohabbat Hay