Kaheen Ik Masoom Nazuk Si Ladki
Bohat Khobsoort Mager Sanwali Si
Mujhay Apnay Khwabon Ki Banhoon Main Paa Ker
Kabhi Neend Main Muskurati Tu Ho Gi
Usi Neend Main Karwaten Badel Ker
Serhanay Se Takiyay Girati Tu Ho Gi
Wohi Khawab Din Ki Khamoshi Main Aa Ker
Usay Man He Man Main Lubhatay Tu Hongay
Kaii Saaz Seenay Ki Khamoshion Main
Meri Yaad Se Jhun Jhanatay Tu Hongay
Woh Besakhta Dheemay Dheemay Suron Main
Meri Dhun Main Kuch Gun Gunati Tu Ho Gi
Mujhay Khat Likhnay Wo Bathi Tu Hogi
Mager Ungliyan Kapkapati Tu Hon Gi
Qalam Haath Se Choot Jata Tu Ho Ga
Mager Qalam Phir Say Uthati Tu Ho Gi
Mera Naam Apni Kitabon Per Likh Ker
Woh Danton Main Ungli Dabati Tu Ho Gi
Zuban Se Kabhi Uff Nikkalti Tu Ho Gi
Badan Dheemay Dheemay Sulagta Tu Ho Ga
Kahiin K Kahiin Pauoon Pertay Tu Hongay
Zameen Pe Dupata Larakta Tu Ho Ga
Kabhi Subah Ko Shaam Kehti Tu Ho Gi
Kabhi Raat Ko Din Banati Tu Ho Gi
Kahheen Ik Masoom Nazuk Si Ladki
Bohat Khoobsorat Mager Sanwali Si