Kahin Ek Maasoom Nazuk Si Larki
Bahut Khubsurat Magar Sanwli Si
Chalo Khat Likhen Ji Mein Aata Bhi Hoga
Magar Ungliyan Kanpkanpaati Bhi Hongi
Qalam Haath Se Chhut Jata Bhi Hoga
Umangen Qalam Phir Uthaati Bhi Hongi
Mera Naam Apni Hatheli Pe Likh Kar
Woh Daanton Mein Ungli Dabaati Bhi Hogi
Seene Se Aanchal Sarakta Bhi Hoga
Woh Takiye Mein Sar Ko Chhupati Bhi Hogi
Meri Jaan Hai Woh Mera Pyaar Hai Woh
Ye Baaten Woh Sabko Batati Bhi Hogi
Kahin Ek Maasoom Nazuk Si Larki
Bahut Khubsurat Magar Sanwli Si