Kajal Aankho'n Mein Saja'aye Huaye Rehta Hai
Woh Hasee'n Shaam Banaye Huaye Rehta Hai
Pehlo Mein Rakhta Hai Dill Bhi Magar
Dill Ki Baat Hum Say Chupaye Huaye Rehta Hai
Jab Bhi Milta Hai Udaas Saa Kar Jata Hai
Andaaz Ajab Hi Apnaye Huaye Rehta Hai
Iss Shehar Mein Sako'n Ka Fokdan Hai Aisa
Jiss Ko Dekho Sataye Huaye Rehta Hai
Woh Bhi Lagta Hai Chout Khaya Hua
Woh Bhi Khud Say Uktaye Huaye Rehta Hai
Main Jo Chahun Bhi Tu Sulajhnay Nahi Deta
Meri Zaat Ko Youn Uljhaye Huaye Rehta Hai
Basti-E-Dill Ko Weeran Kar K Janay
Kon Saa Shehar Bassaye Huaye Rehta Hai
Ik Shakas Teri Ta'abeer Mein Sargarda'n Hai
Ik Shakas Teray Khuab Sajaye Huaye Rehta Hai
Woh Shakas Jissay Bhoola Diya Tum Nay
Ab Bhi Tum Say Nibhaye Huaye Rehta Hai
Woh Shakas Bhi Barra Fankar Hai Amber
Bikhar K Khud Ko Behlaye Huaye Rehta Hai