Kamal-E-Zabt Ko Khud Bhi Aazmaongi
Main Apnay Hath Say Uski Dulhan Sajaongi
Supard Karkay Usay Chandni Kay Hathon Main
Main Apnay Ghar Kay Andheron Main Loat Aaongi
Badan Kay Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paye Ga
Main Dil Main Roangi, Aankhon Main Muskuraongi
Wo Kia Gaya Kay Rafaqat Kay Saray Lutf Gaye
Main Kis Say Rooth Sakongi , Kissay Manaogi
Ab Uska Fun Tou Kisi Oar Say Hua Mansoob
Main Kis Ki Nazam Akele Main Gungunaogi
Wo Ike Rishta-E- Baynaam Bhi Nahi Lakin
Main Ab Bhi Us Kay Isharoon Par Sir Jhokaongi
Samaoton Main Ghanay Jangaloon Ki Sa,Atain Hain
Main Ab Kabhi Teri Awaz Sun Na Paon Gi
Jawaz Dhoond Raha Tha Nai Mohabbat Ka
Wo Kahraha Tha Main Usko Bhool Jaongi