Kaun Milta Hai Ab Murawwat Se
Mil Gaye Aap Mujhko Qismat Se
Humsafar Apne Saath Chhod Gaye
Tang Aakar Diar-E-Ghurbat Se
Tez Tarrar Hain Bahut Qaed
Qaum Ko Bechte Hain Hikmat Se
Fasle Se Raho Isi Mein Hai Khair
Duri Badhti Hai Zyada Qurbat Se
Bewafaee Ki Khoo Se Wo Majboor
Hum Bhi Majboor Apni Fitrat Se
Hum Pashemaan Hain, Par Unhein Dekho
Zulf Suljha Rahe Hain Fursat Se
Rekhta Daur-E-Bezameeri Mein
Hum Bhi Baaz Aa Gaye Sharafat Se.