Add Poetry

Khayal

Poet: Zohaib Hassan By: Zohaib Hassan, Karachi

Khayalon Ko Alfaz Ki Chadar De Dena

Yaad Aaoon Main To Kahin Naam Likh Dena

 

Teri Zulf Ka Main Aseer Ho Gaya Hoon

Baat Karni Ho Gar To Zulfain Bekher Dena

 

Hota Hai Din Yahan To Teri Chashmagi Se

Jab Raat Karni Ho Aankhain Band Kar Dena

 

Hota Hai Chaman Pareshan Teri Udasi Per

Tum Khush Holena Baagh Main Phool Khila Dena

 

Teri Hansi Per Yahan Badalte Hain Mausam

Tum Muskura Kar Baharon Ko Sharma Dena

 

Tere Gaalon Se Yahan Ke Jalte Hain Gulab

Tum Ghusa Dikha Kar Unhain Khaak Kar Dena

 

Baton Se Teri Rehti Hai Yahan Ronaq

Tanhaiyan Apni Tum Mujhe De Dena

 

Tere Haath Rakhne Se Aagayi Mujh Main Jaan

Woh Maujza-E-Maseehayi Zara Phir Se Dikha Dena

 

Teri Khushboo Se Hai Yeh Karvan-E-Zeest

Tere Ishare Per Hai Qubool Yeh Jaan De Dena

 

HASSAN To Hai Yahan Zaleel-O-Khuwar

Tum Naam Le Kar Urooj De Dena

Rate it:
Views: 779
09 Apr, 2008
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets