Khuda Jane Tumhare Zehan Mein Kya Hai?
Mere Bare Mein Tum Kya Sochtee Ho Keh Nahi Sakta
Magar Mein Is Liye Milne Se Katrata Hoon Tum Se
Ke Voh Batein Ju Ham Likhte Hain Apne Khat Mein Chahat Se
Vuh Batein Aur Batein Hain
Vuh Batein Aisee Batein Hain Ke Bas Batein Hee Batein Hain
Haqeeqat Mukhtalif Hai Aisee Batoon Se
Haqeeqat Munkashif Hotee Nahi Alfaaz Likhne Se
Zabani Guftagu Se Bahamee Izhaar-O-Arz Haal Karne Se
Bohat See Aisee Batein Hain
Jinhein Sunn Ne Ko Kanoo Kee Nahi Aankho Kee Haajat Hai
Agar Tum Mujh Se Milne Par Bohat Israar Kartee Ho…
Phir Ek Shart Hai!
Ek Lafz Bhee Kehna Na Hontoon Se
Faqat Aankho Se Aankhein Guftagu Kartee Rahein Gee
Khilaa Apne Sawaloon Ka
In Aankhon Kee Sadaaein Khud Ba Khud Bhartee Rahein Gee
Agar Milna Zaroori Hai
Tu Chotee Se Meree Yeh Shart Apne Zehan Mein Rakhna