Ki Hai Koi Haseen Khata Har Khata Ke Sath
Poet: By: Farah, LahoreKi Hai Koi Hasin Khata Har Khata Ke Saath
 Thoda Sa Pyaar Bhi Mujhe De Do Saza Ke Saath
 
 Gar Dubna Hi Apna Muqaddar Hai To Suno
 Dubenge Ham Zarur Magar Nakhuda Ke Saath
 
 Manzil Se Vo Bhi Duur Tha Aur Ham Bhi Duur The
 Ham Ne Bhi Dhuul Udaai Bahut Rahnuma Ke Saath
 
 Raqs-E-Saba Ke Jashn Men Ham Tum Bhi Nachte
 Ai Kaash Tum Bhi Aa Gae Hote Saba Ke Saath
 
 Ikkisvin Sadi Ki Taraf Ham Chale To Hain
 Fitne Bhi Jaag Utthe Hain Avaz-E-Pa Ke Saath
 
 Aisa Laga Gharibi Ki Rekha Se Huun Buland
 Puchha Kisi Ne Haal Kuchh Aisi Ada Ke Saath
  
More Love / Romantic Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 