Kisi Ki Chah Mein

Poet Submitted byZunaira
Text size

Kisi Ki Chah Mein Eysa B Kiya Sarshar Ho Jana
K Apny Rasty Ki Aap Hi Dewar Ho Jana

Bahany Rasam O Rah K Khud Sochty Rehna
Kisi Ko Chahna Etna K Phir Bezar Ho Jana

Sada Hilwat Mein Apny Aap Sey Batein Bahut Karna
Aur Us K Samny Chup Surat E Dewar Ho Jana

Bahut Aasan Tha Apny Ishq Ki Qeemat Laga Leyna
Muger Apny Liey Mushkil Hai Duna Daar Ho Jana

Related tags on Parveen Shakir poetry

Copied