Kitab E Zindagi Main Mainay
Kuch Rangh Bharay Thay Khuwabon K
Magar
Na Janay Kaisi Hawa Chali K
Auraaq Ulat'tay Gay .... Aur
Fikr K Haashaiy Khinchtay Hi Chalay Gay
Woh Alfaz
Jo Khushi Ka Ehsas Ban Kar Mehaknay Lagtay Thay
Un Main Say Kuch !
Dhundhlay Ho Chalay
Aur Kuch Mit Chalay
Ab Qalam Bhi Saath Nahi Deta
K Phir Say Wahi Likhawat Ho
K Phir Say Wahi Sajhawat Ho
Lagta Hay !
Ab To Yeh Sitrain Sada Khali Hi Rahain Gi