Add Poetry

Koi Dastoor Hota Hai

Poet: SAIF ASHIR By: SAIF ASHIR, ISLAMABAD

Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai
Suna Hai Sher Ka Jab Pait Bhar Jaaye
To Wo Hamla Nahin Kerta
Suna Hai Jab Kisi Nadi K Paani Main
Bue K Ghonsle Ka Gandami Saaya Larazta Hai
To Nadi Ki Ro Pehli Machhilyaan Us Ko
Parosi Maan Leti Hain
Hava K Taiz Jhonke Jab Darakhton Ko Hilaate Hain
To Meena Apne Ghar Ko Bhool Ker
Ka’uve K Andon Ko Paron Main Thaam Leti Hai
Suna Hai Ghonsle Se Jab Koi Bacha Gire To
Saara Jangle Jaag Jaata Hai.
Naddi Main Baar Aa Jaaye
Koi Pull Toot Jaaye
To Kisi Lakri K Takhte Per
Gulahri, Saanp, Cheeta Aur Bakri
Saath Hote Hain.
Suna Hai Janglon Ka Bhi Koi Dastoor Hota Hai
Khuda-Wanda Jaleel-O Mu’atbar, Daana-O Beena Munsif-O Akber
Humare Shahar Main Ab
Janglon Ka Hi Koi Dastoor Naafiz Ker

Rate it:
Views: 592
01 May, 2011
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets