Kya Bataoon Farogh E Zindgi Main Kya Dekha
Jis Taraf Aankh Utthi ,Aik Karbala Dekha
Khudbakhud Jaag Utthi Seenay Main Kanton Ki Chubhan
Jab Bhi Gulshan Main Koi Phool Aap Sa Dekha
Teri Be Aitnaai Ka Kabhi Idraak Kiya
Un Kahi Daastaanon Ka Kabhi Lehja Dekha
Uske Ahsaas Ki Vussat Ka Jab Bi Zikr Chhira
Dam Badam Chaand Sitaaron Ka Silsila Dekha
Uss Samay Teri Inayaat Bohat Yaad Aain
Jab Koi Khait Pyaasa Lab E Dariya Dekha
Mar Gya Tha Jo Rind Muflisi Main Faaqon Se
Uske Marqad Pe Langron Ka Silsila Dekha
Zindgi Rooth Gai Aap Ke Na Honay Say
Lafz Tu Lafz Rahay,Rooh Ko Tashna Dekha