Add Poetry

Kokab Aur Chand

Poet: Ibn.e.Raza By: Ibn.e.Raza, Islamabad

Kisi Ko Panay K Janoo Mai Yeh Na Bhool
Khushboo Ko Apnay Daman Mai Ghera Nai Kartay

Teetli Ko Ya Jugno Ko Muthi Mai Daba Kar
Phir Unhi K Rango Noor Ka Charcha Nahi Kartay

Jo Milay Hon Pal Bhar K Liay Rahay Safar Mai
Aisay Logon Say Ham Koi Suada Nahi Karaty

Tujhay Mai Kaisay Keh Don Mukadar Apna
Chorr Janay Walay Kisi Say Wafa Nahi Kartay

Vo Laut B Aya Tu Wasl Ka Hakdar Na Hoga
Pooranay Zakhmo Ko Phir Say Kuraida Nai Katay

Mohabat Naam Hai Ehsas K Hasin Bandan Ka
Jo Mehsoos Na Kartay Hon Unhai Jatlaya Nai Kartay

Kokab Ko Agar Chand Lagay Ik Haseen Tohfa
Tu Axar Tareek Raton Mai Usay Tanha Nai Kartay

Rate it:
Views: 597
25 Sep, 2010
Related Tags on Love / Romantic Poetry
Load More Tags
More Love / Romantic Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets