Kuch Bhi Ho Wo Mujhko Chahta Bahut Tha
Han Mujhse Kayi Baar Wo Rutha Bahut Tha
Meri Chamak Pital Se Kuch Kam Nahin Thi
Magar Uska Har Ek Rang Sunhara Bahut Tha
Aksar Mere Ghar Mein Woh Tez Jala He
Jis Charag Ke Sar Par Andhera Bahut Tha
Manzilo Ka Shoq Tha Magar Hosla Kam Tha
Apne Hi Rastao Ko Wo Naapta Bahut Tha
Jane Kya Majburya Rahin Sada Uske Sath
Zakhmo Ko Chupa Kar Muskurata Bahut Tha
Us Raat Ka Har Ek Shair Madhosh Ho Gaya
Mujhko Bhi Kahan Sudh Thi Behosh Bahut Tha
Badar Ko Mile Bahut Par Wo Na Mil Saka
Wahi Ek Bhuja Sitaara Jo Toota Bahut Tha